Aadaab Arz Hai...

Humraahi

Rabb dee laadlee
UNP de sabh sajjan mittran noo, Humraahi dee pyaar atte satkaar bhari Sat Sri Akal. Aap sabh layee meri ik likhi nazm pesh hai, iss umeed naal ke tusin saare iss da luft uthaavoaun ge....vaise zarra lambhi hai, iss layee pehla tho khimaa mang dee haan.:yes

Kaafir bann ne ke haalat tho bahut pehda huye
Shahenshah-e-qayanat ne bann nahin diya,
Ho kar mayoos iss jahaan se kar dete alvida
Eh zindagi tere armaan ne marne nahin diya.

Shikast ke suraj ko salaam tho kar dete lekin,
Beech mein imthihaan ki aik raat baaki thi,
Apne wajood se jafa karne ka iraada bantha bhi tho kaise?
Jab ehsaas-e-wafa, tumse bhi tho, mulaqaat baaki thi.

Russwa ho kar iss sar ko jhukaane lagge jo hum,
Kudrat ne saazish kee kuch aisee ke jhukkne nahin diya,
Rukke kadam iss iraade se ke haar jayein hum,
Eh manzil teri pukaar ne rukkne nahin diya.

Kamzarf hona tha aasaan, jo naa aataa yeh khayaal,
Khuda kee bakshi iss jaan kee, kuch daat baaki thi,
Begaane ho kar laksh se chalte rehte magar,
Abhi farz ko anjaam dene kee baat baaki thi.

Dard ke kissi aalam mein, karein khushi ka tasavur,
Ya Parwar deedar-e-alam itne tho naadaan hum nahin,
Lagaa jayein lekin teri ibaadat parr thauhamat koyee,
Eh Mallik-e-do jahaan, ITNE bhi tho insaan hum nahin.

Hai mashwaraa teri Khudai ka, har khel khelein aise,
Kaamyaabi ke kissi manzhar ka koi shaukh na rakhein,
Hasrat ho tho bass itni, ke joojein dil-o-jaan se,
Sitam ki inteha ka koi khauff na rakhein.

Baagh mein kantein laakh hon, khilta hai phir bhi phool,
Parwaah hoti nahin ussko, tamaam gulshan raqeeb hai
Junoon rakhta hai jeene ka, suraj kee tapish mein,
Josh-e-imaan hota hai iss qadar ke Khuda habeeb hai.

Iltejaa hai yeh "Mann" ki, likhein apna kissa isthraa,
Bekasi kee har baat se, himat kee baat jorein,
Daur khushi ka ho ya gham ka, badalna hai muyain,
Badalte dauraon mein, Inshallah, apni zaat ne shorien.

Kaafir bann ne ke haalaat tho, bahut pehda huye.....

Aadaab
 

Humraahi

Rabb dee laadlee
Shukriya, nawaazish Amarveer ji. Hanji aap hee likhi hai ji, ya phir kehalvo ke hath mera see, uss de picche shakti uppar wale dee. :-)
 
Top