__Eik Bachpan ka zamaana tha......

*Sippu*

*FrOzEn TeARs*
Ek BACHPAN ka Zamana tha,
jisme Khushiyo ka khazana tha...
.
Chahat Chaand ko pane ki thi,
par DIL titli ka Diwana tha...
.
Khabar na thi kuch Subah ki,
Na Shaam ka thikana tha...
.
Thak-har ke aana school se,
Par khelne bhi jana tha...
.
Maa ki kahani thi,
Pariyo ka fasana tha...
.
Barish me kagaz ki naav thi,
Har Mausam suhana tha.. ..
.
Har khel me Sathi the,
Har Rishta nibhana tha...
.
Gam ki zuban na hoti thi,
Na zakhmo ka paimana tha...
.
Rone ki wajah na thi,
Na hasne ka bahana tha...
Kyon Ho gaye hum itne bade,
isse achha to
"Wo Bachpan ka Zamana tha"

By nimaana singh :smirk
 
Top