Tera jalwa yaqeenan kam na hoga

grewalsandy

Jatt Jalandhary
Tera jalwa yaqeenan kam na hoga
Meri aankhon main lekin dum na hoga

Mohabbat jub talak zinda rahegi
Wafadaron ka rutba kum na hoga

Chali jaye gi khud phoolon se khushboo
Teri yadon ka jab mosam na hoga

Parinde sub gharo main hi rahenge
Hawa ka zor jab tak kam na hoga

Hawaye zor kitna hi lagale
Charage aarzoo madham na hoga

Hamara azm jo mohkam na hoga
To sar batil ka dhar se kham na hoga
 
Top