Kya se kya Bun gaya hoon!

SehaJ

Troublemaker
mein tu musafiroon ke safr main phans sa gaya hoon

ik reth ke samundar mein dhas sa gaya hoon

rastoon ki hair-pher main ulajh sa gaya hoon

na jane kis galti ka gunah-gar bun sa gaya hoon

asmaan ke sitaroon ki tarah bhatak sa gaya hoon

is pathar dil shehar mein phisal sa gaya hoon

pani ki ik bond ke liye taras sa gaya hoon

ek bhi aur sans se bus ab dar sa gaya hoon

teri katilana adayoun se bus mur sa gaya hoon

mein andhera bhari rahoon mein ab thak sa gaya hoon

is ishq ke ajeeb khel mein mazak bun sa gaya hoon

tujhe chahne ke baad kuch badal sa gaya hoon

bari dair se intezar mein khara jum sa gaya hoon

toofano ka samna kerte kerte murda sa bun gaya hoon

hawayoun ke is zoor-o-shor se ab dar sa gaya hoon

khushi ke ik zarray ke liye tadap sa gaya hoon

mein be-inteha muhabat ka ik shikar bun gaya hoon

teri bewafiyoun se wafa-dar bun sa gaya hoon

tujh se bicharnay ke baad kch toot sa gaya hoon

teri khatir main khushiyoun se bichad sa gaya hoon

be-kasoor hone ke ba-wajood bhi mujrim sa ho gaya hoon

hazaroon main hoon phir bhi tanhaa sa ho gaya hoon

teri bin jeenay ki aadat si hoo gayi

phir bhi teri raah mein majnu bun sa gaya hoon

mere har lafz mein tera hi be-inteha tasavur hai

lekin afsos ke tujhey samjhane main nakam sa ho gaya hoon
 
Top