Kitab

Bura mat manna agr jada keh jau,
Es chahat k darya mein agr beh jau.
Shyad aur koi puhanch nai paya teri ankhon k gehrai mein
Jo dekhi tum ne rat bina mehtab likhni hai
Mujhe tum pe ek kitab likhni hai.

Yeh lat ka chehre pe es trha ana,
Jese kisi badal ka chand ko chupna.
Tumhari gaal k til ki kahani
Tumhari izazt se janab likhni hai.
Mujhe tumpe ek kitab likhni hai.....

Kese ho sakta hai koi etna khubsurat,
Khuda si kyu lagti hai teri yeh surat.
Kese byan kar punga teri murat ko
Banawat jese ho kali gulab likhni hai
Mujhe tum pe ek kitab likhni hai.

Tumhara dil jo tumse bhi haseen hai,
Jiski waja hui zindgi rangeen hai.
Tumhare nashe ki age
Kya hai sharab likhni hai
Mujhe tumpe ek kitab likhni hai

Pagal hi hojaye dekhe tujhe nazar bhr,
Kisika etna bura hall to mat kiya kar.
Sambhal k reha karo
Kitne hai tujhe jarurt-e-nakab likhni hai
Mujhe tumpe ek kitab likhni hai

Tujhe choone ko dil karta hai mera,
Tera hone ko dil karta hai mera.
Zidd nai jarurt ban gayi ho ab
Tere liye jo hai chahat behisab likhni hai
Mujhe tumpe ek kitab likhni hai.

Mujhe tumpe ek kitab likhni hai,
Tumhari khubsurati be-shoomar likhni hai.

Writer:- Ankur Prashar
 
Top