kisi ko galay se lagaya to hoga…

V € € R

~Badmassha Vich Shareef~
koi chaudhwein Raat ka chand ban kar
tumharay tasawur mein aya to hoga

kisi se to ki hogi tum ne muhabbat…
kisi ko galay se lagaya to hoga…

tumharay Khayalon kay agan mein meri
yaad ke phool mehkay to hon gay

kabhi apni ankhon ke kajal se tum ne
mera naam likh kar mitaya to hoga…

labon se muhabbat ka jadu jaga kar
bhari bazm mein sab se nazarein bacha kar

nigahon ki raahon se dil mein sama kar
kisi ne tumhein bhi churaya to hoga…

kabhi ainay se nigahein mila kar
jo li hogi bharpur angraeiyan tu nay

to ghabara ke Khud teri angraiyon ne
tere husn ko gudgudaya to hoga…

nigahon mein shama-e-tamana jala kar
taki hongi tum ne bhi rahein kisi ki

kisi ne to wada kia hoga tum se
kisi ne tumhein bhi roolaya to hoga…
 
Top