SehaJ
Troublemaker
Jab teri yaadon kaa mausam hotaa hai
Sach ye hai bekaar hame gham hotaa hai
Jo chaahaa thaa duniyaa mein kam hotaa hai
Dhaltaa suuraj phailaa jangal rastaa gum
Hamse puuchho kaisaa aalam hotaa hai
Ghairon ko kab fursat hai dukh dene kii
Jab hotaa hai koii ham-dam hotaa hai
Zakhm to ham ne in aankhon se dekhe hain
Logon se sunte hain marham hotaa hai
Zahan kii shaakhon par ashaar aa jaate hain
Jab terii yaadon kaa mausam hotaa hai