Jab bhi kareeb ataa hoon

SehaJ

Troublemaker
Jab bhi kareeb ataa hoon bataney ke liye
zindagii doooor rakhtii hai yun he sataaney ke liye

mehfilon ki shaan naa samajhana hamey
main too hansta hoon dard chupaaney ke liye.

Faasalon ko naa samjhooo hamaariii bewaafaayiii
main to Doooor hoon tumse paaaas aaney ke liye.

Naa jaano haqeeqat mere in aanswoon ki
Yeh to rotii hain tumharii aankhon ke paani ke liye.

Koi gila nahi hai hamey apneeee barbaaadii ka sanam
Angaaar to sulgaa he tha aag se jal jaane ke liye.
 
Top