hazaaroN KHwahishaiN

Royal_Punjaban

»»K@mli!««
hazaaroN KHwahishaiN ‘eisee ke har KHwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaaN lekin fir bhee kam nikle
nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle
mohabbat meiN naheeN hai farq jeene aur marne kaa
usee ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikle
KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim
kaheeN ‘eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle
kahaaN maiKHaane ka darwaaza ‘GHalib’ aur kahaaN waaiz
par itana jaante haiN kal wo jaata tha ke ham nikle
 
Top