Dard - e - Ishk

Ishk_boy

Member
I know Punjabi forum ch hindi likh reha hain par je phir vi dil te lage gal da dasna jaroor

To GOD
e-khuda meri kismat mein yeh tanhaayee kyon hai

GOD’s reply
tanha toe main hoon, tere saath teri parchhaayee toe hai

To GOD
tab kya hoga jab yeh parchhaayee bhi na hogi
koi saathi milega mujhe ya sirf tanhaayee hi hogi


GOD’s reply
tab mehfilein hongi, koi tanhaayee nahi hogi
tu aur main saath honge, bas teri parchhaayee nahi hogi
 

Ishk_boy

Member
To GOD

Subah se shaam ho gayi, woh aaye nahi hain ab tak

Woh aayenge ya nahi, yun intezaar karoo main kab tak

GOD’s Reply

Ye tu uski galiyon ki sooni raaho se poochh
Ya un raaho pe bichhi uski nigaaho se poochh

Tere intezaar mein nikali uski aaho se poochh
Ya un aaho mein mili uski duaao se poochh

Poochh sakta hai toe uski wafaao se poochh
Aur mujh se nahi apne gunaaho se poochh

Tujhe waqt ki koi kadr nahi, kal intezaar karaaya tha use, aaj uski baari hai
Tujhe do pal ka bhi sabr nahi, yun intezaar mein toe usne ek umr guzaari hai
 

Ishk_boy

Member
To GOD

jaise khwab se zyada parchhaayee sachchi hai
us bewafa se toe meri tanhaayee achhi hai

GOD’s Reply

woh tanhaayee mein hi tujhse door ho gayi taaki tu mehfilo mein ‘tanhaayee’ ke liye mush-hoor ho jaaye

aur ishq mein bewafaai ke liye majboor ho gayi taaki tu ‘bewafaao se aashiqui’ ke liye mush-hoor ho jaaye
 

Ishk_boy

Member
To GOD

yunhi nikla tha ghar se, dekhne naya aashiyana koi
aaj hi kyon baadal barse, kyon bheega main bataana koi

GOD’s Reply

jo roye bheegne ke darr se, ab kya bane uska sahaara koi
gar karta tu mohabbat dil se toe samajhta ishaara koi

ye baadal yunhi nahi barse, aaj phir roya hai dewaana koi
tu hai jab dil mein uske, kyon dhoondta hai thikaana koi
 

Ishk_boy

Member
To GOD

Kya dard ke liye main hi milta hoon har baar hazaaro mein
Kabhie toe kuchh aur bhi likh do meri kismat ke sitaaro mein

GOD’s Reply

Woh dard ka matlab kya jaane, jo ilzaam lagaaye sitaaro par
Jaa un kashtiyo se poochh kabhie, jo doob gayi kinaaro par

Kuchh chunte hain patjhad ki sazaa, phoolo ke uphaaro par
Aur dete hain phir dil se dua, auro ko bahaaro par

Kuchh marne ko taiyaar yahaan, sirf aankhon ke ishaaro par
Aur kuchh jee rahe hain taaki koi, roye na unki mazaaro par

Kuchh kehte nahi zubaa se kabhie, chaahe dil mein ho zakhm hazaaro par
Na gaate hain woh mehfilo mein kabhie, na yun rote hain darbaaro par

Woh dard ka matlab kya jaane, jo ilzaam lagaaye sitaaro par
Jaa un kashtiyo se poochh kabhie, jo doob gayi kinaaro par…
 

Ishk_boy

Member
Us ne Door Rehne ka mashwara diya hai..
Saath hi mohabbat ka wasta b likha hai..

Us ne yeh b likha hai mere ghar nhin aana..
Aur saaf lafzon main rasta bhi likha hai….
 

Ishk_boy

Member
Kal Yaad Tum Bahut Aaye The..........
Kal Yaad Tum Bahut Aaye The..........


kal halki halki baarish thi
kal sard hawa ka raks bhi tha

kal phool bhi nikhre nikhre the
kal un mein aab ka aks bhi tha

kal baadal kaale gehre the
kal chaand per laakhon pehre the

kuch tukde aapki yaadon ke
badi der tak dil mein thehre the

kal yaadein uljhi uljhi thi
kal yaad bahut tum aaye the

KAL YAAD TUM BAHUT AAYE THE...........
 

Ishk_boy

Member
bada armaan tha uske saath jeewan bitane ka,,,,,
shikwa hai bus uske khamosh reh jaane ka,,,,,
dewaangi is se bad kar kya hogi,,,,,
aaj bhi intzaar hai uske maan jaane ka
 
Top