Wafaa ke naam par hai aur bhi, mit jaane ko tayyar hai
Usi fehrisht mein ya rab, ek hum bhi gunahgaar hai
Zamaana raondta na humko, Na kabhi dar badar hote
Kisi ki yaad mein ye dil, Aur mariz-e-dil bhi beemar hai
Mohabbat ko mitakar tum, Na hoge kabhi sar sabz
Chalao laakh khanjar tum, Tera har waar bekaar hai
Abb khwahish nahi koi, Na hai khudse koi ummeed
Teri ek bass nigahein shauk ka “ALAM” talabgaar hai …