Warna tujhe chahne ki Khata baar baar nahi karta.

~¤Akash¤~

Prime VIP
Main lafzon se kuch bhi izhar nahi karta
Iska Matlab ye to nahi ki main tujhe pyar nahi karta

Chahta hu main tujhe aaj bhi
Par teri soch me apna waqt bekar nahi karta

Tamasha na ban jay meri Mohabbat kahin
Isliye apne dard ko Aashakar nahi karta


Jo kuch Mila hai Usi me khush hun
Tere liye Khuda se takrar nahi karta

Par kuch to baat hai teri fitrat me zalim
Warna tujhe chahne ki Khata baar baar nahi karta.
 
Top