us din ka aur intzaar ab main kar nahi sakta....!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Chaahata hun tumhe dil aur jaan se jyada,
ikraar bhi is baat ka main kar nahi sakta.
Kya jaante ho tum meri mohabbat ke baare mein?
jiska khulasa main kar nahi sakta....

Chaahat hai humein sirf teri O - mere - Sanam,
itna tujhe bata doon yeh main kar nahi sakta.
Sapno ka aik mehal sajaaya maine tumhare saath,
is mehal ka sapna main dhekh nahi sakta...

Vaada jo kiya tha tumse, sada khush rehne ka,
ab to gamon ke saath mein jee bhi nahi sakta....
Tum bin jiya na jaayega, to kya khatam kar lun ye zindagi?
itni bewafai bhi tumse main kar nahi sakta....

Aur kya haasil hoga humein yaaro,
unse juda ho kar to main mar bhi nahi sakta.
Jaanenge kis din wo meri chaahat ko?
Samjhenge kis din wo meri mohabbat ko?
us din ka aur intzaar ab main kar nahi sakta....!!!
 
Top