teri judai ka yeh kaisa uphaar hai!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
teri judaai ka yeh kaisa uphaar hai
na dil ko chain hain na qarar hai
mujhe bas tera hi intazaar hai

dhalne lage hain ab toh zindagi ke saaye
sajan tum keh ke bhi na aaye
meri yeh peera tum ko kaun samjhaaye
mere bechain nayano ki pyaas ab kaun bujhaaye
aaja ki ab toh aayi vasant bahaar hai
teri judaai ka yeh kaisa uphaar hai

gehare dard mein dube hain nayan hamaare
ab in mein koi sapana bhi na utare
hontho per aa ke ruke hain sukhe ashaq hamaare
ab tere bina jeena mushkil hua re
ab toh bas milan ka hi intazaar hai
teri judai ka yeh kaisa uphaar hai!!!
 
Top