samay sawan ka ho

Saini Sa'aB

K00l$@!n!
samay sawan ka ho
sundar samay suhana ho sugandhit bahe bayaar
sundar jani fir paas ho baah pakare ho yaar
samay sawan ka ho
sundar us muskaan me chumban ka sanket
sundar naina bol rahe ho ab kaahe ka bhed
samay sawan ka ho
sundar ghata nihaar rahi ho jham jham bares megh
sundar chhan me kho ab nahi raha vishesh
samay sawan ka ho
sundar baate chhin gayee par gaya maddhim deep
sundar pyaari ke liye khul gaye saare sheep
samay sawan ka ho
sundar sukhad sundari me beet gayee jab rain
sundar apani jiwni likh kar le fir chain
samay sawan ka ho
sundar sagar sundar nadiya
sundar parvat jheel
sundar apana pyara bharat
sundar bana sharir
sundar mausam sundar chhaya kyo jaate viprit
samay sawan ka ho..
 
Top