Saath hamare

Justpunjabi

Lets_rock
Saath hamare
nadiya gahri door kinare
aao tum bhi saath hamare

koyal koo-koo karti hardum
sooni baghiya roz nihare

ghar ke bartan hain sab khali
jogi aya hai phir dware

gumsum gumsum chand akela
kana phoosi karte tare

dono(n) mein bus pyar hua tha
sari basti udre sharaare

hai(n) duniya mein kai sudama
shyam kaha(n) jo panv pakhare

ab kaun use ye samjhaye
ki angare hain chand sitare

kashmir humen manzoor naheen
ruste veera(n) dukhi shikare

wapas kar do yade(n) meri
hum the shayad mati ke mare

phir "ahsaas" wahi khamooshi
kya baithen hum paas tumhare
 
Top