Saansein chubhati hain mere seene mai khanjar ki tarah Jinda

~¤Akash¤~

Prime VIP
Saansein chubhati hain mere seene mai
khanjar ki tarah
Jindagi lagti hai ab dur ke
manjar ki tarah

Ek bhi katra muhabbat ka
mukaddar na bana
Hum bhatakte rahe duniya mai
samander ki tarah

Dur tak apne siva kuch bhi
na dekha usne
Hum khade rah gaye bus raah ke
manjar ki tarah

Unki yaadon se kaho koi
naya ghar dhoondhein
Jindagi apni hai girte huey
khandehar ki tarah

Mere sheron mai uski surat hai
jisko dekhe jamana hua

tujhse milker kisi se kya milte
koi tujh jaisa dusara na hua
 
Top