maali ne usse uthaya jane kahan rakh aaya...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
jeevan khila tha koi aise jaise koi phool
hanste muskurate gulshan ko wo jee raha tha
sawan ki rimjhim se chamak raha tha
purvai ki roshni se damak raha tha.
...
kuch lamhe nahin poori ek zindagi jee raha tha phool
khushi ke ansu reh rehkar pyar se pee raha tha phool
par khushi ko kuch jaldi thi shayad
wo laut gayi, laut te kadmon ko dekh raha tha phool...
..
ab murjhane ki baari aayi thi
fiza gayi abb khiza ki baari aayi thi
dheere dheere mayus ho raha tha wo phool
jaise apni hi mazaar pe ro raha tha wo phool...
...
dua mangta tha hawa chale kuch zor se
toot kar alag ho jaye wo ikk dor se
ajeeb sa dard jhel raha tha wo phool
jane kyun apne ghum se khel raha tha wo phool
...
na hawa chali na koi toofan aaya
na hi dhoop thi uspar na hi koi saaya
apne hi aangan mein mara pada tha wo
maali ne usse uthaya jane kahan rakh aaya...!!!
 
Top