kaise batayu kaun hoon main

MAIN EH KAVITA 2006 CH LIKHI C

kaise batayu kaun hoon main
Abhi tak khud se anjaan hoon main.
Aainna rakh kar khud ko dekhta hoon
Akhir kis ki pehchan hoon main.
Bina vajood ke yeh meri jaan
Zinda hote huye murda jaan hoon main.
Kya daam lagayegi eh duniaya
Jiske liye bekaar samaan hoon main.
Ik jarra (mitti ka ek kann) v asmaan hai meri nazro main
Kyun duniya ki nazro main mamuli jaan hoon main
Kya bardasht karu is santaap ko
Log kahte hai abhi nojwaan hoon main.
Zindagi chhor nahi sakta chah kar vi
Kisi jaan ka abhimaan hoon main.
Kab tak sahan karu is agan ko
Dil kahta hai agg ka toofan hoon main.
Dab gaya hoon kisi ke ahsano ke tale
Kaise kah du apni zindagi ka haqdaar hoon main.
Bahut kah-sun liya ab jine do
Akhir socho ik insaan hoon main.
Durr le chal o khuda mujhe
Is duniya se ab pareshaan hoon main.
Khuda de agar mere ansuyo ka moll
To sab se amir insaan hoon main
 
‘My Beloved Gave Me Limitless (Love), And I
Gathered To The Best Of The Limits, That I Could Hold:
As If, I’ve Lived My Whole Life, Just In A Moment!
(And), Still I’m Living That Moment, A Hundred Times:
To Which, Beloved! I’ve Dedicated, Whole My Life!’
 
Top