kabhi yaad aao to is tarah.

~¤Akash¤~

Prime VIP
Kabhi yaad ao to iss tarah,
kabhi gungunao to is tarah,

mera dard phir se ghazal bane,
kabhi dil dukhao to is tarah,

meri dhadkane bhi laraz uthain,
kabhi jo bhool jao to is tarah,

na sisak sakain na bilak sakain,
kabhi jo chhod jao to is tarah,

na ujad sakain na sanwer sakain,
kabhi yaad aao to is tarah.
 
Top