Jo chala gayi mujhe chord ker main kabhi na us ko bhula saka

~¤Akash¤~

Prime VIP
Jo chala gayi mujhe chord ker
main kabhi na us ko bhula sakaa..
wohi doorian, wohi faasle
main kabhi na in ko mita sakaa..
kya usey b mujh se pyar tha
ya tabassum us ka shauar thaa
wo koi ajeeb sawaal tha
jo meri samajh mein na aa saka..
meri zindagi ka sukoon thi
wo mere dil ka ik junoon thi
wo meri bandagi mera pyar thi
yehi baat na main us ko bta sakaa..
yehi sochta tha main raat bhar
jo kabhi miley gi wo raah per
to karun ga us se shikayatein
wo mili to lab bhi na hila sakaa..
jo chali gaye mujhe chord ker
main kabhi na usko bhula saka
 
Top