Jahan koi kisi se juda na ho, mujhe uss raah ki ta

Jahan koi kisi se juda na ho, mujhe uss raah ki talaash hai,




Yeh zara zara si baat par, tarah tarah ke azaab kyun,

Jo kisi se bhi khafa na ho, mujhe uss khuda ki talaash hai,



Mujhe laghzishon peh harr ghari, koi tok-ta hai baar baar,
Jisey kar ke dil ko dukh na ho, mujhe uss gunaah ki talaash hai,



Main dhoondta hoon woh khizaan, jise gulshanon se pyaar ho,
Jise kisi chiraag se na bair ho,mujhe uss hawaa ki talaash hai,



Mujhe uss nagar ki hai justaju, jahan koi bhi bhahaata nahi lahu,
Jahan hirann ko sher se darr na ho,mujhe uss jagah ki talaash hai,

Yahan ik lamhe ke parraao mein, mere saare phool jhulas gaye,
Ab jahan talkhiyon ki tapish na ho,mujhe uss fiza ki talaash hai,



Bina humsafar ke kab talak, koi musafiton mein laga rahe,
Jahan koi kisi se juda na ho, mujhe uss raah ki talaash hai,



Mujhe dekh kar jo ik nazar, mere saare dard samajh sakey,
Jo iss Qadar ho chara-gar, mujhe uss nigaah ki talaash hai,
 
Top