ishq ke sagar mein ab doob jana chahta hoon...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
ek khwahish, ek aarzoo hai..
dil-e-tammanna bankar dil mein samana chahta hoon..
..
Jaane kaunsi aawaz ko tarase hai khushi..
usi aawaaz par jannat lutana chahta hoon..
..
tanhai mein ek apne se sakha ka saath hai..
us insaan ki hasti se ek naata banana chahta hoon..
..
youn to aasman mein taare jhilmilate hai..
main to ek tara bankar toot jana chahta hoon..
..
itne taaron ki mehfil mein chand tanha hai to kya..
main bhi uski chandni mein nahana chahta hoon..
..
lamha lamha zindagi hai... Zamane bhar na reh sake..
main to ek lamha bankar simat jaanna chahta hoon..
...
youn toh aate rehte hai khwab tujhko jaan k..
main tujhe khwabon mein aakar satana chahta hoon..
..
jan -e - jahan, na ban anjaan mujhko jankar..
main tujhe har saans se jaan jana chahta hoon..
..
youn to teri dhadkanon pe haq tera hi khoob hai..
jaan-o-ruh bankar main bhi sargam churana chahta hoon..
...
gar tu keh de mujhe jaan-e-wafa, ae zindagi..
apne dil ko jara si mohabbat sikhana chahta hoon..
..
jaan meri, ishq mere ahsaas tujhko khoob hai..
ishq ke sagar mein ab doob jana chahta hoon...!!!
 
Top