Hum safar hota koyi to baant lete ......

Hum safar hota koyi to baant lete duuriyaan,
Raah chalte log kya samjhein meri majbuuriyaan,
Muskuraate Khwaab chuntii gun_gunaatii ye nazar,
Kis tarah samjhe merii qismat kii na_manzuuriyaan,
Haadson kii bhiid hai chaltaa huaa ye kaarvaan,
Zindgi kaa naam hai laachaariyaan majbuuriyaan,
Phir kisii ne aaj chhedaa zikr_e_manzil is tarah,
Dil ke daaman se lipatne aa gayi hain duuriyaan,
 
Top