Har lamha woh khushboo meri saanso ko mehkaati hai !!!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Bin dor khicha jaata hai koi jaise,
bin jyot jal jaata hai koi jaise,
Tumhe nahi pataa ek jaadu hai unme,
har lamha woh nigaahe yaad aati hai !!

Dil ki viraan tanhaaiyo ko,
munnawwar kai baar kiya hai jisne,
tumhe nahi pataa ek taab hai usme,
har lamha woh bindiya yaad aati hai !!

baarish ki buundo ki maanind woh hansi,
ab bhi mere kaano me padti hai,
tumhe nahi pataa ek saaz hai usme,
har lamha woh hansi yaad aati hai !!

saadgi tumhari baato ki ,
ab bhi mere zehan me hai,
tumhe nahi pataa ek tapish hai usme,
har lamha woh baate yaad aati hai !!

Bheeni si tumhare badan ki khushboo,
ab bhi meri saanso me hai samaai,
tumhe nahi pataa ek kashish hai usme,
Har lamha woh khushboo meri saanso ko mehkaati hai !!!!!
 
Top