Gustakhiya wo yoon karte rahe par hamara unhe maaf karna laa

~¤Akash¤~

Prime VIP
Gustakhiya wo yoon karte rahe par
hamara unhe maaf karna laazmi tha

Pyar tha unse,
Har tarah unhe apnana laazmi tha
Wo jo na samjhe is baat ko...
Unka hame thukrana laazmi tha

Dil ki baat dimaag jo na samjha
Raasto ka alag hona laazmi tha

Par har baat har rishte se...
Upar chaha tha unhe,
Dilka hamara tut jaana laazmi tha

Yeh dard ab jo had se par hua...
To hamne unhe bhul jaana chaha...

Par hamara dilke hatho yu bebas hona
Unhe na bhula pana laazmi tha

Gustakhiya wo yoon karte rahe par
hamara unhe maaf karna laazmi tha....
 
Top