Chamka ager naseeb ka tara kabhi kabhi

~¤Akash¤~

Prime VIP
Dhoonda jo zindagi ka sitara kabhi kabhi
Ghabra k phir unhi ko pukara kabhi kabhi

Kuch dard-e-ishq se hamen hasil to ho gaya
Karte hain woh bhi zikr hamara kabhi kabhi

Hum dil mein dekh lete hain tasweer apki
Hota hai yun bhi jashn-e-nazara kabhi kabhi

Sab mukhtasir hui shab-e-ghum ki musibatein
Dil se liya jo naam tumhara kabhi kabhi

Woh waqt bhi kareeb hai jab meri yaad ka
Lena parega tum ko sahara kabhi kabhi

Sab apna ghum ki kaali ghatao mein chup gaya
Chamka ager naseeb ka tara kabhi kabhi
 
Top