Bistar par karwat leta hoon Tere wajood ko dhundhta hoon Haa

~¤Akash¤~

Prime VIP
Bistar par karwat leta hoon
Tere wajood ko dhundhta hoon
Haath kuch na aata hai
Ik soonapan taari hota hai

Neend se main jagta hoon
Aur zaar-zaar rota hoon
Teri parchaai ke saaye tale
Beete lamhon main jeeta hoon

Ek manzar chaa jaata hai
Ankhon main khoon de jaata hai
Wo mehakte pal wo chaandni raat
Ik doosre ka sang aaj khojta hoon

Laut bhi aa mere pyaar ki manzil
Dard ke sehraa main bhatak raha hoon
Tere aqs ko talaashta hoon
Aur gam se nidhaal hota hoon

kamre main yaadon ki parchaai
Dil ke dar-o-deewar se lipti tanhaai
Yaad aate hai wo khushnuma pal
Un lamhon ko ashkon main qaid karta hoon....
 
Top