bhala kaise.......

Hazaron baar diya dhoka tumne
hum sab ko
Khadi diwar nafrat ki mitaye to
bhala kaise
Kiya hai waar tu usko jo apna
samajhta tha
Laga di aag mere ghar me
bujhaye to bhala kaise
Teri har berukhi ko nazar andaz
kiya hum ne
Diya jo zakhm is dil par dikhaye
to bhala kaise
Teri kaayeri ka bayan kab tak
karega Noor
Teri har galati ko yun hi bhulaye
to bhala kaise
Hazaron baar diya dhoka tumne
hum sab ko
Khadi diwar nafrat ki mitaye to
bhala kaise
 
Top