Bas ek baar tera deedar paane ko ji karta hai...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Karke shararat koi, tera dil churane ko ji karta hai
Bhul ke dukh dard saare, mera tujhe hasane ko ji karta hai
Us khuda se nahi hai koi waasta mujhe,
Mera to tujhe khuda banane ko ji karta hai
Jhutha hi sahi ek baar ruth ja yaara,
Mera tujhe manaane ko ji karta hai
Tere bina kya zindagi hai meri,
Har saans tere naam karne ko ji karta hai
Tu to bas gaya hai khayalon mein mere,
Tere sapno mein aane ko ji karta hai
Khwabon mein hi dekh lenge tujhe,
Bas ek baar tera deedar paane ko ji karta hai...!!!
 
Top