apne hi boz se lada huwa , hanfata huwa

~¤Akash¤~

Prime VIP
Dhul - mitti me khelta huwa bachpan
School se ate waqt barish me
bhigata huwa bachpan
Kagaj ki kashti k sath,
tairta huwa bachpan...
Bhar dhoop me nange pav
daudta huwa bachpan,
kaha gaya wo bachpan
Chand kancho (marbel) k liye dosto k sath ladta huwa bachpan....
fir apne hisse k bhi de kar manata huwa bachpan...
choti -choti bato k liye maa se ladta huwa bachpan
papa se darta huwa bachpan...
kaha gaya wo bachpan
T.v. , computer ki bhid me
khoya huwa bachpan
ghar ki char diwari me qaid huwa bachpan
school, tution , coaching class k
boz se lada huwa bachpan...
number o ki daud me bhagta huwa bachpan
apne hi boz se lada huwa , hanfata huwa
Bachapan.... ...
KAHA GAYA WO BACHPAN????? ????????
 
Top