Lyrics Zindagi mein koi

gurvy

.:: free as the wind ::.
- ZINDAGI ME KOI KABHI -
-----
---
-

Zindagi mein koyi kabhi aaye na rabba

Aaye jo koyi toh phir jaaye na rabba

Dene ho gar mujhe baad mein aansoo

Toh pehele koyi hasaaye na rabba



Dil ke jo armaan the dil mein hi reh gaye

Aashiqui jo kee toh ham ashqon mein beh gaye

Gham ka fasaana hai, dard ye puraana hai

Itna bhi koyi yaad aaye na rabba



Ashq aankhon mein bhare hain, jigar jalta hai

Kya qayaamat hai, kya qayaamat hai, Kya qayaamat hai

Bhari barsaat mein ghar jalta hai



Yahi sochta hoon kaise usko bhoolaaunga

Na woh kabhi aayegi na usse bhool paaunga

Jeene ka thheekaana hai na, marne ka bahaana hai

Itna bhi koyi bhi sataaye na rabba


Zindagi mein koyi kabhi aaye na rabba

Aaye jo koyi toh phir jaaye na rabba

Dene ho gar mujhe baad mein aansoo…

Toh pehele koyi hasaaye na rabba :tear :tear

 
Top