Lyrics ye tune kya kiya

Miss Alone

Prime VIP
Song Title: Ye Tune Kya Kiya
Film: Once Upon A Time In Mumbaai Again
Singer: Javed Bashir
Music Dir: Pritam
Lyricist: Rajat Arora
Featuring: Imran Khan, Sonakshi Sinha, Akshay Kumar


Ye Tune Kya Kiya

Ishq woh bala hai
Ishq woh bala hai
Jisko chhuaa isne woh jala hai
Dil se hota hai shuru
Dil se hota hai shuru
Par kambakht sar pe chadha hai
Kabhi khud se, kabhi khuda se
Kabhi zamaane se lada hai
Itna hua badnaam phir bhi
Har zubaan pe ada hai


Ishq ki.. saazishein
Ishq ki.. baaziyaan
Haara main khel ke
Do dilon ka juaa


Kyun tune meri fursat ki
Kyun dil mein itni harqat ki
Ishaq mein itni barqat ki
Ye tune kya kiya..


Phiru ab maara maara main
Chaand se bichhda taara main
Dil se itna kyun haara main
Ye tune kya kiya..


Saari duniya se jeet ke main aaya hoon idhar
Tere aage hi main haara kiya tune kya asar


Main dil ka raaz kehta hoon
Ke jab jab saansein leta hoon
Tera hi naam leta hoon
Ye tune kya kiya


Meri baahon ko teri saanson ki jo
Aadatein lagi hain waisi
Jee leta hoon ab main thoda aur


Meri dil ki ret pe
Aankhon ki jo pade parchhai teri
Pee leta hoon tab main thoda aur


 
Top