Lyrics Udaan - Movie - All Songs !

dc16

- dEsPeraTe cRaNky -
Song : Aazaadiyan-Pairon Ki Bediyan



Pairon ki bediyan khwabon ko baandhe nahi re, kabhi nahi re
Mitti ki parton ko nanne se ankur bhi cheenay, dheere dheere
Iraade hare hare, jinke seeno mein ghar kare
Woh dil ki sune kare na darre, na darre

Subah ki kirno ko rokein jo salaakhein hai kahan
Jo khayalon pe pehre daale woh aankhein hai kahan
Par khulne ki deri hai parinde udh ke jhoomenge
Aasman aasman aasman
Subah ki kirno ko rokein jo salaakhein hai kahan
Jo khayalon pe pehre daale woh aankhein hai kahan
Par khulne ki deri hai parinde udh ke jhoomenge
Aasman aasman aasman

Aazaadiyan, aazaadiyan
Aagey na kabhi, mile mile mile
Aazaadiyan, aazaadiyan
Jo cheenay wahi, jee le jee le jee le

Subah ki kirno ko rokein jo salaakhein hai kahan
Jo khayalon pe pehre daale woh aankhein hai kahan
Par khulne ki deri hai parinde udh ke jhoomenge
Aasman aasman aasman

Kahani khatam hai ya shuruwaat hone ke hai (hone ke hai)
Subha nayi hai yeh ya phir raat hone ko hai (hone ke hai)
Kahani khatam hai ya shuruwaat hone ke hai (hone ke hai)
Subha nayi hai yeh ya phir raat hone ko hai (hone ke hai)

Aane wala waqt dega panha hai
Ya phir se milenge do raahein
Khabar kya, kya pataa
 

dc16

- dEsPeraTe cRaNky -
Song : Geet Mein Dhalte Lafzon Mein



Geet mein dhalte lafzon mein
Taal pe chalti nabzon mein
Naya kuchh naya to zaroor hai
Shaam se leke sehron mein
Dhoop jadi duphero mein
Naya kuchh naya to zaroor hai

Kya baat hai jo baat hai taaza lagey
Zindagi ki nayi nayi faza lagey

Haan yeh umango se poora hua seena hai (seena hai ..)
Lamha yeh maanga nahi, isse humne cheena hai (cheena hai ..)
Yunhi jeena hai

Dhool jami thi aankhon mein
Khwab khile ab lakhon mein
Naya kuch naya to zaroor hai
Dard ki baatien kal ki hain
Aaj mein khushiyan chalki hain
Naya kuch naya to zaroor Hai
Jebon mein hum raatein liye ghuma kare
Fursat ke yeh mauke sabhi jhuma kare

Haan yeh umango se poora hua seena hai (seena hai ..)
Lamha yeh maanga nahi, isse humne cheena hai (cheena hai ..)
Yunhi jeena hai

Andheri mein hai nayi garmiyan
Junoon sakht hai gayi narmiyan
Hai dilchasp yeh aag si (aag si)
Mitenge nahi yaad se (yaad se)

Geet mein dhalte lafzon mein
Taal pe chalti nabzon mein
Naya kuchh naya to zaroor hai
Shaam se leke sehron mein
Dhoop jadi duphero mein
Naya kuchh naya to zaroor hai

Kya baat hai jo baat hai taaza lagey
Zindagi ki nayi nayi faza lagey

Haan yeh umango se poora hua seena hai (seena hai ..)
Lamha yeh maanga nahi, isse humne cheena hai (cheena hai ..)
Yunhi jeena hai


 

dc16

- dEsPeraTe cRaNky -
Song : Kahaani-Aankhon Ke Pardon Pe



Aankhon ke pardon pe pyaara sa jo tha woh nazara
Dhua sa ban kar udh gaya ab na raha
Baithe the hum toh khwabon ke chaon ke tale
Chod ke unko jaane kahan ko chale

Kahani khatam hai ya shuruwaat hone ke hai
Subha nayi hai yeh ya phir raat hone ko hai
Kahani khatam hai ya shuruwaat hone ke hai
Subha nayi hai yeh ya phir raat hone ko hai

Aane wala waqt dega panhe
Ya phir se milenge dauraahein
Khabar kya, kya pataa
 

dc16

- dEsPeraTe cRaNky -
Song : Motumaster-Iski Maa Agar Isse


Iski maa (bhai kiski maa)
Iski maa agar isse, pait mein hi maar deti (maar deti)
Toh Bihar mein akaal na hota (akaal na hota)
Orissa mein, Orissa mein baad na hoti (baad na hoti)

Maa perplex thi (perplex thi)
Baap complex tha (complex tha), complex tha
Arrey radio ke zamaane ka yeh pehla multiplex tha (multiplex tha)

Paida hua yeh jis din paida hua... (2)
Iss ke baap ne gaon mein ladoo batwaya... (2)
Woh aakhri din tha jab isske gaon mein kisi ne kuch khaya (kisi ne kuch khaya, kisi ne kuch khaya)
Paida karte iski maa jo zor se chilai
Leke Ashok Chakra sarkar daudi daudi aayi

Doctor ne baap ko side mein le jaake daanta... (2)
Bola kahan se layi yeh gastronomical jwarbhata... (2)
Darzi ne bola inchi tape apne bagal mein chaape... (2)
Kamar toh naapte magar hum kamra kaise naape... (2)
Hoo pathar ke paalne mein jab yeh leta rota tha... (2)
Sara gaon isske baap ke aasuon se bartan dhota tha
Bartan bartan bartan dhota tha ..

Gusse mein isska baap (oho)
Parliament gaya (aaha)
Bola nirodh kyun, late invent kiya (oho ..) Invent ..

Har baal ki khaal ki yeh chaal bhi kha jaaye
Iske haath padh jaaye toh mahiney saal bhi kha jaaye
Kisi behal ka bacha jo haal bhi haal kha jaaye
Bemaut marte mann ka yeh malaal kha jaaye
Lalu kalaal kha jaaye
Naxal baari ki naal kha jaaye
Bachpan ka dhamaal kha jaaye
Budhape ki shaal kha jaye
Haya toh chodo baheya ki chaal bhi kha jaaye
Agar parosa ja sake toh khayal bhi kha jaaye

(butter chiken, butter chiken ..)
Hoo ladoo gopal hai poora chopal hai
Khada toki tarsi baitha Bhopal hai
(baitha Bhopal hai bhai baitha Bhopal hai
Bhopal Bhopal baitha Bhopal hai)

Iski jo baat hai khansabo ko daad hai
Baap murdabad beta muradabad hai
(iski jo baat hai khansabo ko daad hai
baap murdabad beta muradabad hai, baap murdabad beta muradabad hai)

Hey isski jo dakaar hai bhopu bhi bekar hai
Gud gud iske pait ki, pait ki sarkar hai
Vote do bhai vote do, poora hi phod do

Iska jo size hai iski maa ka pyaar hai
Hajam kiya iss ne apne baap ka karobaar hai
(baap ka karobaar apne baap ka karobaar hai)

Chirken ka muse hai par ya varan hi lose hai
Udne na dena isse dooms day ka fuse hai
(dooms day ka fuse hai bhai dooms day ka fuse, doom
dooms day ka fuse dooms day ka fuse hai)

Khachua bhi isse faster, motumaster
Gas ka plaster, motumaster
Hai naak bandh phaatkar, motumaster
Chod baant baant kar, motumaster

Yeh motumaster hai total disaster
Total diaster hai motumaster
Motumaster chal daaro paas kar
Chup be, bastard



 

dc16

- dEsPeraTe cRaNky -
Song : Naav-Chadhti Lehrein Laang Na Paye



Chadhti lehrein laang na paye kyun haapti si naav hai teri, naav hai teri
Tinka tinka jod ke saansein kyun haapti si naav hai teri, naav hai teri
Ulti behti daar hai behri, daar hai behri
Ulti behti daar hai behri, daar hai behri
Ke ab kuch kar ja re bandu

Bigar juta ke baal baal dule hai baat thehri jaan pe teri, jaan pe teri
Bhaiya hoki taan saadh le jo baat thehri jaan pe teri, shaan pe teri
Chal jeet jeet lehra ja, chal gulaal phehra ja
Ab kar ja tu ya marr ja, karle teyaari
Udh ja ban ke dhoop ka panchi, chuda ke gehri chaon, andheri chaon, andheri
Tinka tinka jod ke saansein kyun haapti si naav hai teri, naav hai teri

Rakh dega jag jor ke tujhe, toofanon ka gol hai tere gol hai tera
Bhanwar se darr jo haar maan le, kaahe ka phir jor hai tera jor hai tera (jor hai tera)
Hai dil mein roshni tere, tu cheer daal sab gehere
Lehron ki gardhan kasske daal phande re (daal phande re)
Kidariya bole bahaar panthi sar aankhon pe naav hai teri naav hai teri (naav hai teri)
Chadhti lehrein laang na paye kyun haapti si naav hai teri, naav hai teri
Ulti behti daar hai behri, daar hai behri
Ulti behti daar hai behri, daar hai behri
Ke ab kuch kar ja re bandu

 

dc16

- dEsPeraTe cRaNky -
Song : Nadi Mein Talab Hai (Udaan)



Nadi mein talab hai
Kahin jo agar, samandar kahan door hai
Damakti garaz hai, sone mein agar
To jalna bhi manzoor hai
Ik udaan kab talak yun kaid rahegi
Roko na chod do isse
Ik udaan hi sapno ko zindagi degi
Sapno se jod do isse

Purani daleelon, rasmon ko sabhi
Abhi se kahe alvida
Badalte dino ke tareekon se
Seechein hum naya gulistan
Ik udaan kab talak yun kaid rahegi
Roko na chod do isse
Ik udaan hi sapno ko zindagi degi
Sapno se jod do isse

Ik udaan kab talak yun kaid rahegi
Roko na chod do isse
Ik udaan hi sapno ko zindagi degi
Sapno se jod do isse


 
Top