Lyrics Tum Bin Jeeya Jaye Kaise

♛Princess

Prime VIP
Tum bin kya hai jeena,
Tum bin kya hai jeena...
Tum bin jiya jaye kaise, kaise jiya jaye tum bin,
Sadiyon si lambi hai raaten, sadiyon se lambe huye din.
Aaa jao laut kar tum, yeh dil keh raha hai
Aaa jao laut kar tum, yeh dil keh raha hai..


Phir shame tanhayi jaagi, phir yaad tum aa rahe ho,
Phir jaan nikal ne lagi hai, phir mujhko tadpa rahe ho,
Phir mujhko tadpa rahe ho...
Is dil mein yaadon ke mele hai,
Tum bin bahut hum akele hai.
Aaa jao laut kar tum, yeh dil keh raha hai,
Aaa jao laut kar tum, yeh dil keh raha hai...


Kya kya na soocha tha maine, kya kya na sapne sajaye,
Kya kya na chaha tha dil ne, kya kya na armaan jagaye,
Kya kya na armaan jagaye...
Is dil se toofan guzarte hai,
Tum bin to jeete na marte hai.
Aaa jao laut kar tum, yeh dil keh raha hai,
Aaa jao laut kar tum, yeh dil keh raha hai...


Tum bin jiya jaye kaise, kaise jiya jaye tum bin,
Sadiyon si lambi hai raaten, sadiyon se lambe huye din,
Aaa jao laut kar tum, yeh dil keh raha hai,
Aaa jao laut kar tum, yeh dil keh raha hai...

Tum bin kya hai jeena
 
Top