Full Lyrics Taiyaari - Why Cheat India - Soumik Sen - Juhi Saklani - Lyrics

Goku

Prime VIP
Staff member
Jiwan ki race mein
Aage badh rahe hai
Aajkal bachhe
Taiyari kar rahe hai

Jiwan ki race mein aage badh rahe hai
Aajkal bachhe taiyari kar rahe hai

Din shaam raat ke fark ko mitakar
Baagi dimaag ko kurshi pe bitha kar
Masti ke aarmano ko chita pe lita kar
Baagi dimag ko kurshi pe bitha kar
Papa ke sapno ke tax bhar rahe hai
Aajkal bachche taiyari kar rahe hai

12va Cup chai hai thaka sa dimaag hai
Entrance Exam ka 12ma sa raag hai
Moti si salary ka hara bhara baag hai
Entrance Exam ka 12ma sa raag hai

Zindagi kal shuru hogi aaj mar rahe hai
Aajkal bachche taiyari kar rahe hai

Engineer banna tha yeh kya banke rah gaya
Coaching ki factory mein purja sab sah gaya
Fail year ka dhang chhod sab piche rah gaya
Coaching ki factory mein purja sab sah gaya

Family ke naamo ke jhande gaad rahe hai
Aajkal bachche taiyari kar rahe hai
 
Top