Lyrics Sochta hoon ke vo kitne masoom the

Song - Sochta hoon ke vo kitne masoom the
Artist - Ustad Nusrat Fateh Ali Khan

__________________

Ab to haathon
Ab to haathon se lakeere mit ti jati hain
Us ko kho kar to mere pass raha kuch bhi nahi
Kal bichadna hai - "sargam"
Kal bichadna hai to phir ehad-e-wafa soch k baad
Abhi aagaz-e-mohabbat hai gaya kuch bhi nahi
Main to is vaste chup hoon k Tamasha na bane
Tu smjhta hai mujhe tujhse gila kuch bhi nahi
Main - "Sargam"
Main to is vaste chup hoon k Tamasha na bane
Tu smjhta hai mujhe tujhse gila kuch bhi nahi

Sochta hoon -3
Sochta hoon ke vo kitne masoom the -2
Kya se kya ho gye dekhte dekhte
Sochta hoon ke vo kitne masoom the, Kya se kya ho gye dekhte dekhte -2

"Sargam"

Sochta hoon ke vo kitne masoom the, Kya se kya ho gye dekhte dekhte

"Sargam"

Sochta hoon ke vo kitne masoom the, Kya se kya ho gye dekhte dekhte

Re Sochta hoon ke vo kitne masoom the -2

"Sargam"

Sochta hoon ke vo kitne masoom the, Kya se kya ho gye dekhte dekhte -2

Maine patthar se jihko banaya sanam - 2
Vo Khuda ho gaye dekhte dekhte
Maine patthar se jihko banaya sanam, Vo Khuda ho gaye dekhte dekhte -2

"Sargam"

Maine patthar se jihko banaya sanam, Vo Khuda ho gaye dekhte dekhte

"Sargam"

Maine patthar se jihko banaya sanam, Vo Khuda ho gaye dekhte dekhte

"Sargam"

Maine patthar se jihko banaya sanam

Ae jin patthhro ko hamne ada ki thi dhadkane - 2
Vo bolne lage to ham par hi baras pade Dekho ji
Maine patthar se jihko banaya sanam, Vo Khuda ho gaye dekhte dekhte

"Sargam"

Maine patthar se jihko banaya sanam, Vo Khuda ho gaye dekhte dekhte

Mere hathon se tarashe se hue patthar ke sanam -2
Mere hi samne bhagwan bane baithe hai
Maine patthar se jihko banaya sanam, Vo Khuda ho gaye dekhte dekhte

"Sargam"

Maine patthar se jihko banaya sanam, Vo Khuda ho gaye dekhte dekhte

Hashar hai wahashatey Dil ki aawargi -3
Humse pucho mohobbat ki deewangi - 2
Hashar hai wahashatey Dil ki aawargi, Humse pucho mohobbat ki deewangi

Jo pata puchte the kisi ka kabhi -2
Laapata ho gaye dekhte dekhte
Jo pata puchte the kisi ka kabhi, Laapata ho gaye dekhte dekhte -3

Humse ye soch kar koi wada karo -3
Ek wade pe umren guzar jayengi -2
Humse ye soch kar koi wada karo
Ek wade pe umren guzar jayengi
Ye hai dunia yahan kitne aehl-e-wafa -2
Bewafa ho gaye dekhte dekhte

"Sargam"

Ye hai dunia yahan kitne aehl-e-wafa, Bewafa ho gaye dekhte dekhte -3
Ke Humse ye soch kar koi wada karo, Ek wade pe umren guzar jayengi -2
Humse ye soch kar koi wada karo
Din chupgya,
ho din chupgya-chupgya-chupgya -2
Din chup gya sooraj ka kahin naam nahi hai -2
O wada shikal ab bhi teri shaam nahi hai -3
O wada shikal - wada shikal

Shab-e-wada - Shab-e-wada ye raha karti hai baatein dil se
Dehke yaar aata hai pehle ya kaza aati hai

Kal se be kal hoon main
Kal se be kal hoon bhala khaak mujhe kal aaye -2
Kal ka wada tha na vo aaj aaye na vo kal aaye
O wada shikal - wada shikal -2
Roz ka intezar kon kare -2
Aapka aitbaar kon kare
O wada shikal - wada shikal -2

Ho chuka wada k kab aayie ga -2
Dekhiye ab na bhool jaiye ga
O wada shikal - wada shikal -2
Bhala koi wada khilafi ki had hai -2
Hisab apne - hisab apne dil main laga kar to socho
Bhala koi wada khilafi ki had hai
Hisab apne - hisab apne dil main laga kar to socho
Qayamat ka din aa gya rafta-rafta
Mulakaat ka din badalte-badalte
O wada shikal - wada shikal -2

Re humse ye soch kar koi wada karo
Ek wade par umren guzar jayengi -2
Ye hai dunia yahan kitne aehl-e-wafa -2
Bewafa ho gaye dekhte dekhte
Ye hai dunia yahan kitne aehl-e-wafa, Bewafa ho gaye dekhte dekhte

Gair ki baat tasleem kya kijiye -2
Gair ki baat tasleem kya kijiye
Ab to khud par bhi humko bharosa nahi -2
Gair ki baat tasleem kya kijiye, Ab to khud par bhi humko bharosa nahi
Apna saya smjhte the jinko kabhi -2
Vo juda ho gaye dekhte dekhte
Apna saya smjhte the jinko kabhi, Vo juda ho gaye dekhte dekhte

Sochta hoon ke vo kitne masoom the
Kya se kya ho gye dekhte dekhte


 
Top