Lyrics Shukriya Zindagi

$hokeen J@tt

Prime VIP
Shukriya Zindagi



Chan ke aayi toh kya chaandni toh mili
Chan ke aayi toh kya chaandni toh mili
Chand din hi sahi yeh kali to khili
Shukriya zindagi - 4 times
Teri meharbaaniyan, teri meharbaaniyan
Shukriya zindagi - 4 times

Sirf ik rang se tasveer hoti kahin
Gham nahi toh khushi ki keemat nahi
Sirf ik rang se tasveer hoti kahin
Gham nahi toh khushi ki keemat nahi
Dhoop chaaon hain dono toh dilkash jahaan
Kya shikaayat karein, fursat kahaan
Shukriya zindagi - 4 times
Teri mehrbaaniyan, teri mehrbaaniyan
Shukriya zindagi - 4 times

Apni taqdeer ki hai yeh daastaan
Kabhi qatilaana, kabhi meharbaan
Apni taqdeer ki hai yeh daastaan
Kabhi qatilaana, kabhi meharbaan
Meharbaani jo dil ko karaar aa gaya
Apne qaatil pe bhi pyaar aa gaya
Shukriya zindagi - 4 times
Teri mehrbaaniyan, teri mehrbaaniyan
Shukriya zindagi - 4 times
 
Top