Lyrics Saanson Ke Lyrics – Raees | Sung by KK

Miss Alone

Prime VIP
Saanson ke kisi ek mod par
Mili thi tu zindagi
Meri dost bann ke


Chal diya teri baat maan kar
Tera haath thaam kar
Tujhe saathi chunn ke

Main kis manzil ka raahi hoon
Tu kinn raahon pe laayi hai
Samajh paaun na main tujhko
Naa tu mujhko…

Jo na-manzoor hai mujhko
Wohi manzoor hai tujhko
Samajh paaun na main tujhko
Naa tu mujhko…

Jo le liya tha tune faisla
Zameen pe aasmaan mein rakh diya
Main chhaaon mein lapete dhoop ko
Kahaa jo tune kehna kar diya

Chalaa main apni manzil ko
Ja tu bhi laut ja ghar ko
Samajh paaun naa main tujhko
Naa tu mujhko…

Jo na-manzoor hai mujhko
Wohi manzoor hai tujhko
Samajh paaun naa main tujhko
Naa tu mujhko…
 
Top