Lyrics rangrez

Naughty_always

~ Internal Happiness ~
Aye rangrez mere, aye rangrez mere
Ek baat bata rangrez mere
Yeh kaun se paani mein tune kaun sa rang ghola hai
Yeh kaun se paani mein tune kaun sa rang ghola hai
Ke dil ban gaya saudaai
Aur mera basanti chola hai, mera basanti chola hai
Ab tum se kya main shikwa karun
Maine hi kaha tha zid kar ke
Rang de chunri pi ke rang mein
(rang de, rang de chunri pi ke rang mein)
Par mue kapaas pe rang naa rukey
Rang itna gehra tera ki jaan-o-jagar tak ko bhi rang de
Jigar rang de

Rangrez tune afeem kya hai khaa li
Jo mujhse tu yeh pooche ke kaun sa rang
Rangon ka kaarobaar hai tera
Yeh tu hi toh jaane kaun sa rang
Mera baalam rang, mera saajan rang
Mera katik rang, mera aghan rang
Mera phagan rang, mera saavan rang
Pal pal rang te rang te mere aathon pehar manbhaawan rang
Ik boond ishqiyan daal koi tu
Oo ik boond ishqiyan daal koi mere saaton samandar jaaye rang
Meri hadd bhi rang, sarhad bhi rang
Behadd rang de, anhad bhi rang de
Mandir, masjid, maikad rang
Rangrez mere, rangrez mere, rangrez mere
Rangrez mere, do ghar kyun rahe
Ek hi rang mein dono ghar rang de, dono rang de
Pal pal rangte rangte rangte rangte
Naihar peehar ka aangan rang
Pal pal rangte rangte rangte rangte
Mere aathon pehar manbhaawan rang
Neende rang de, karwat bhi rang
Khawaabon ke padeh salwat bhi rang
Yeh tu hi hai hairat rang de
Aa dil mein samaa hasrat rang de
Phir aaja aur waslat rang de
Jo aa na sake toh furqat rang de
Dard-e-hijraan yeh dil mein
Dard-e-hijraan liye dil mein dard e main zinda rahun
Zinda rahun, zurrat rang de

Rangrez mere, rangrez mere
Tera kya hai asal rang
Ab tu yeh dikhla de
Mera piya bhi tu, meri sej bhi tu
Mera rang bhi tu, rangrez bhi tu
Meri naiya bhi tu, majhdaar bhi
Tujh mein doobu, tujh mein ubhroon
Teri har ek baat sar aankhon pe
Mera maalik tu, mera saahib tu
Meri jaan, meri jaan tere haathon mein
Mera qaatil tu, mera munsif tu
Tere bina kuch sujhe na, tere bina kuch sujhe na
Meri raah bhi tu, mera rahbar tu
Mera sarwar tu, mera aqbar tu
Mera mashriq tu, mera maghrib tu
Zaahid bhi mera, murshid bhi tu
Ab tere bina main jaaun kahaan, jaaun kahaan
Tere bina ab jaaun kahaan, tere bina ab main jaaun kahaan
(tere bina, tere bina .. )

Aye rangrez mere, aye rangrez mere
Ek baat bata rangrez mere
Yeh kaun se paani mein tune kaun sa rang ghola hai
Yeh kaun se paani mein tune kaun sa rang ghola hai
Ke dil ban gaya saudaai
Aur mera basanti chola hai, mera basanti chola hai


:lub :lub :lub :x :x :x :lub :lub :lub
 
Top