Lyrics Paani Ka Raasta Lyrics – Raman Raghav 2.0 | Siddharth Basrur

Miss Alone

Prime VIP
Aasma kitna saara tha aasma
Jispe humne tha sab dharaa
Per baadal pe tha aaya

Raasta.. hum the pani ka rasta
Na kisi se bhi vasta
Dhoop the hum hi the saaya

Dhuaan aisa utha
Taaron se tut ke gira
Kuaan aisa bana
Rassi se chhoot ke gira

Raasta.. pani ka tha jo rasta
Ud gaya banke bhaap saa
Mera dhundhla huaa saya

Aasma.. itna sara tha aasma
Mit gaya kachche khwab sa
Raat ne mera dil khaaya

Dhuaan aisa utha
Taaron se tut ke gira
Kuaan aisa bana
Rassi se chhoot ke gira

Jal jal ke mudna
Aur dar dar ke udna
Hua.. kyu huaa?

Bach bach ke chalna
Kehna koi sach na
Hua.. kyu huaa?

Huaa naraaz sa
Shakhon se chhoot ke gira
Juaa.. har sans ka
Aankhon me keel sa gada

Dhuaan aisa utha
Taaron se tut ke gira
Kuaan aisa bana
Rassi se chhoot ke gira...
 
Top