Lyrics MERI ZINDAGI Bhaag Johnny | Rahul Vaidya, Mithoon

Miss Alone

Prime VIP
O...

Tu hi dar hai, tu hi duaa
Tujh mein hi dekha maine Khuda
Tujhse suru huaa tujhpe khatam hoon
Bas ye meri daastaan

Kaun mera hai tere sivaah
Tujhmein hi hai meri panaah
Tu hi mera naseeb

Meri zindagi hai tu.. (x4)

Seene mein jo main dum bhar raha
Wo saans bhi hai tu

Dard ke iss daur mein tu hai
Chain-o-qaraar hai lamha mera
Jeena chaahun jisme hamesha
Tu hai mubaarak wo duniya

Kaun mera hai tere sivaa
Tune kiya har gham se riha
Tu hi mera habeeb

Meri zindagi hai tu.. (x4)

Seene mein jo main dam bhar raha
Wo saans bhi hai tu

Teri baahon mein hai mila ab
Sadiyon ka aaraam mujhe
Paaya tujhko jo maine to
Dil mein ab na armaan rahe

Kaun mera hai tere sivaah
Sath mera tune hi diya
Yun hi rahe na kareeb

Meri zindagi hai tu.. (x4)

Seene mein jo main dum bhar raha
Wo saans bhi hai tu..
Aa...
 
Top