Lyrics kehta hai joker

Arun Bhardwaj

-->> Rule-Breaker <<--
Kehta hai joker saara jamaana
Aadhi haqikat aadha fasana

Chashma utaaro phir yaaro dekho
duniya nahi hai chehra purana

kehta hai joker...

( Apne pe hans kar jag ko hansaya
Ban ke tamasha mele main aaya ) -2
mele main aaya

(hindu na mulsim, poorab na pashchim) -2
Mazhub hai apna, hansna hansaana

kehta hai joker ...

(Dhakke pe dhakka, rele pe rela
Hai bheed itni, par dil akela ) -2
par dil akela

(gam jab sataye, seeti bazana ) -2
par maskhare se dil mat lagana

kehta hai joker ...
chasma utaro ...
kehta hai joker ...♥♥

 
Top