Lyrics Kahin toh hogi voh duniya(jaane tu...ya jaane naa)

♛Princess

Prime VIP






Kahin toh, kahin toh, hogi woh
Duniya jahaan tu mere saath hai
Jahaan main, jahaan tu
Aur jahaan bas tere mere jazbaat hain
Hoti jahaan subah teri, palkon ki kiranon mein
Lori jahaan chaand ki, sune teri baahon mein
Jaane na kahaan woh duniya hai
Jaane na woh hai bhi ya nahin
Jahaan meri zindagi mujhse
Itni khafaa nahin
Jaane na kahaan woh duniya hai
Jaane na woh hai bhi ya nahin
Jahaan meri zindagi mujhse
Itni khafaa nahin

Saansein kho gayi hain kiski aanhon mein
Main kho gayi hoon jaane kiski baahon mein
Manzilon se rahein dhundhti chali
Aur kho gayi hai manzil kahin raahon mein

Kahin toh, kahin toh, hai nasha
Teri meri har mulaqat mein
Hothon se, hothon ko
Chumte rehte hai hum har baat pe
Kehti hain fizaa jahaan
Meri zameen aasmaan
Jahaan hai tu, meri hansi
Meri khushi, meri jaaan
Jaane na kahaan woh duniya hai
Jaane na woh hai bhi ya nahin
Jahaan meri zindagi mujhse
Itni khafaa nahin
Jaane na kahaan woh duniya hai
Jaane na woh hai bhi ya nahin
Jahaan meri zindagi mujhse
Itni khafaa nahin
 
Top