Full Lyrics Jeene Mein Aaye Maza - Gully Boy - Ankur Tewari - Mikey McCleary - Lyrics

Goku

Prime VIP
Staff member
Tarazu ke bas do thaal hain
Ek ore hum dooje mein khwaab hain
Zindagi yeh pareshaan hai
Zindagi yeh pareshaan hai
Ganimat hai tu yahan
Jeene mein aaye maza

Khareeda nahi jaata khwaab hai
Kiraya bhi aisa lajawab hai
Zindagi yeh pareshaan hai
Ganimat hai tu yahan
Jeene mein aaye maza

Tu jo mila jaaga khwaab hai
Khoyi huyi meri kitaab hai
Muskaya sa aadaab hai
Jeene mein aaye maza

Sustaye mausam aabaad hain
Hawaon ke rukh humse naaraz hain
Zindagi yeh pareshaan hai
Ganimat hai tu yahan
Jeene mein aaye maza

Tu jo mila chhida saaz hai
Khamoshi ko mili aawaaz hai
Behti hawa sa ehsaas hai
Jeene mein aaye maza

Bigda hua hisaab hai
Thoda nafa thoda nuksan hai
Zindagi yeh pareshaan hai
Ganimat hai tu yahan
Jeene mein aaye maza
 
Top