Lyrics Har Taraf (Saaya)

♛Princess

Prime VIP

( har taraf, har jagah, har kahin pe hai
haaN.. usi kaa roop ) -3
haaN usi kaa roop
( roshni kaa koi dariyaa to hai
haaN kahin pe zaroor ) -2
k: roshni kaa koi dariyaa to hai
haaN kahin pe zaroor



ye aasmaaN, ye zamin, chaaNd aur sooraj
kyaa banaa sakaa hai kabhi koi bhi kudrat -2
koi to hai jiske aage hai aadmi majboor
k: koi to hai jiske aage hai aadmi majboor
sh: har taraf, har jagah, har kahin pe hai
haaN.. usi kaa roop



sh: insaan jab koi hai raah se bhaTkaa
isne dikhaa diyaa, usko sahi rastaa -2
koi to hai jo kartaa hai mushkil hamaari door
k: koi to hai jo kartaa hai mushkil hamaari door
sh: har taraf, har jagah, har kahin pe hai
haaN.. usi kaa roop
roshni kaa koi dariyaa to hai
haaN kahin pe zaroor
 
Top