Lyrics Coke Studio Afreen Afreen Lyrics – Rahat Fateh Ali Khan & Momina Musteh

Miss Alone

Prime VIP
Song Name: Afreen Afreen
Artist: Rahat Fateh Ali Khan & Momina Mustehsan
Album: Episode 2, Coke Studio 9
Music Director: Fakhir Mehmood
Produced By: Strings


aisa dekha nahi khoob-soorat koyi
jism jaise ajanta ki moorat koyi
jism jaise nigaahon pe jaadu koyi
jism nagma koyi
jism khushbu koyi
jism jaise mehakti hui chandani
jism jaise machalti hui raagini
jism jaise ke khilta hua ik chaman
jism jaise ke sooraj ki pahli kiran
jism tarsha huwa dil-kash o dil-nisheen.
sandaleen sandaleen
marmareen marmareen.

We have never seen one with such beauty as she
Hers is the beauty of the sculptured idols of Ajanta
Her beauty has bewitched our gaze
Her beauty is an alluring song
Her beauty is a heady fragrance
Hers is the beauty of scented moonlight
Hers is the beauty of a haunting melody
Hers is the beauty of a blossoming garden
Hers is the beauty of the first light of dawn
Hers is the most exquisitely hewn beauty
Warm and smooth as sandalwood
Pure and delicate as marble.

husn-e jaana ki tareef mumkin nahei (x2)
aafreen aafreen
aafreen aafreen
tu bhi dekhe agar to kahe ham-nisheen
aafreen aafreen
aafreen aafreen
husn-e jaanaan ki tareef mumkin nahi
husn-e jaanaan ki tareef mumkin nahi.

It is impossible to describe that beautiful beloved
Praise to her Creator! Praise to her Creator!
Praise to her Creator! Praise to her Creator!
Whoever sees her must succumb to her spell
Praise to her Creator! Praise to her Creator!
It is impossible to describe that beautiful beloved.

jaane kaise baandhe tune akhiyon ke dor
mann mera khicha chala aya teri or
mere chihre ke subh zulfon ki shaam
mera sab kuch hai piya ab se tere naam.

nazron ne teri chhuwa
to hai yeh jaadu hua
hone lagi hoon main haseen
aafreen aafreen … aafreen (x4).

I don’t know what enchantment your gaze wrought
My heart became drawn to you irresistibly
The bright dawn of my face, the dusky twilight of my tresses
All that was mine is now devoted to you
Your eyes met mine
And ever since then a spell has been woven
I feel that I have become beautiful
Praise to her Creator! Praise to her Creator!

chehra ik phool ki tarh shaadaab hai
chehra us ka hai ya koyi mahtaab hai
chehra jaise ghazal chahrah jaan-e ghazal
chehra jaise kali chahrah jaise kanwal
chehra jaise tasawwur bhi tasweer bhi
chehra ik khaab bhi chahrah taa’beer bhi
chehra ik pal yaqeen chahrah ik pal gumaan
chehra koyi alf lailawi daastaan
chehra jaisa kih chahrah kaheen bhi naheen.

Her face is fresh as a flower
Is it her face in its brilliance or is it the moon itself?
Her face is sheer poetry
Her face has the beauty of the lotus flower
Her face is an artist’s thought and also its translation
Her face is both dream and realisation
Her face is some magical tale
Her face is both certainty and supposition
Her face is like no other seen anywhere.

maah-ru maah-ru mah-jabeen mah-jabeen
husn-e jaanaan ki ta’reef mumkin naheen
husn-e jaanaan ki ta’reef mumkin naheen
aafreen aafreen
aafreen aafreen
tu bhi dekhe agar to kahe humnasheen
aafreen aafreen
aafreen aafreen,

husn-i jaanaan ki ta’reef mumkin naheen
aafreen aafreen (loop),
(Sargam).

Splendidly luminous, dazzlingly radiant
It is impossible to describe that beautiful beloved
Praise to her Creator! Praise to her Creator!
Whoever sees her must succumb to her spell
Praise to her Creator! Praise to her Creator
It is impossible to describe that beautiful beloved
Praise to her Creator! Praise to her Creator!​
 
Top