Lyrics Ankit Tiwari - Sheeshe Ka Samundar - The Xpose (2014)

→ ✰ Dead . UnP ✰ ←

→ Pendu ✰ ←
Staff member
Song : Sheeshe Ka Samundar
Film : The Xpose (2014)
Singer : Ankit Tiwari
Music : Himesh Reshammiya
Lyricist : Sameer Anjaan

**********************************************

Sheeshe ka samundar
Paani ki deewarein

Sheeshe ka samundar
Paani ki deewarein
Maya hai bharam hai
Mohabbat ki duniya
Iss duniya mein jo bhi gaya
Woh to gaya

Ho… sheeshe ka samundar
Paani ki deewarein
Maya hai bharam hai
Mohabbat ki duniya
Iss duniya mein jo bhi gaya
Woh to gaya

Ho… sheeshe ka samundar
Paani ki deewarein

Barf ki reton pe
Shararon ka thikana
Garam sehraaon mein
Narmiyon ka fasaana
Yaadon ka aaina
Uthta hai jahaan
Sach ki parchhaaiyan
Har jagah aati hai nazar
Sone ke hain baadal
Pattharon ki barish
Maya hai bharam hai
Mohabbat ki duniya
Iss duniya mein jo bhi gaya
Woh to gaya

Ho… sheeshe ka samundar
Paani ki deewarein

[Wo.. O.. O…] x 4

Dil ki is duniya mein
Sarhadein hoti nahi
Dard bhari aankhon mein
Rahatein soti nahi
Jitne ehsas hain
Adh-bujhi pyaas hai
Zindagi ka falsafa
Pyaar ki panahon mein chhupa
Dhoop ki hawayein
Kaaton ke bageeche
Maya hai bharam hai
Mohabbat ki duniya
Iss duniya mein jo bhi gaya
Woh to gaya

Ho… sheeshe ka samundar
Paani ki deewarein
 
Top