Old Lyrics Ankhon mein jal raha hai - Jagjit Singh - Ghazal

Ankhon men jal raha hai kyun bujhta nahin dhuan 2
Uthta to hai ghata sa barasta nahin dhuan
Ankhon men jal raha hai kyun bujhta nahin dhuan

Chulhe nahin jalaye ya basti hi jal gayi 2
Kuch rooz ho gaye hain ab uthta nahin dhuan 2
Ankhaon men jal raha hai kyun bujhta nahin dhuan

Ankhon ke poonchne se laga aanch ka pata 2
Yun chehara pher lene se chupta nahin dhuan

Ankhon se ansuon ke marasim purane hain 2
Mehama ye ghar men aye to chubta nahin dhuan
Uthta to hai ghata sa barasata nahin dhuan
Ankhon men jal raha hai kyun bujhta nahin dhuan
 
Top