Lyrics Abhi Abhi - Jism 2

#Jatt On Hunt

47
Staff member
Abhi abhi toh mile ho
Abhi naa karo chhootne ki baat
Abhi abhi toh pasand aaye ho
Abhi abhi roothne ki baat!

Abhi abhi toh roshni aayi
Abhi naa karo munh chhupane ki baat
Abhi abhi zindagi shuru hai...
Abhi abhi tham jane ki baat!

Hum toh haare mahiya re
Moonde naina, neend tihare [x2]

Teri baazuon mein meri chahatein samaaye
Teri dhadkano ko meri dhadkanein sunaaye
Teri khwahisho se meri khwahishein riha hain
Teri karwaton se meri dastaan bayaan hai
Kya sukoon kya junoon humnawa...

Abhi abhi dil ki suni hai
Abhi na karo zamaane ki baat!
Abhi abhi baatein ruki hain
Abhi abhi dohraane ki baat!

Abhi abhi aawaaragi aayi
Abhi na karo sambhalne ki baat
Abhi abhi zindagi shuru hai
Abhi abhi tham jane ki baat!

Woh subah toh, bewajah ho
Ke Guzre bin tumhare jiski raat [x2]

Teri baazuon mein meri chahatein samaaye
Teri dhadkano ko meri dhadkanein sunaaye
Teri khwahisho se meri khwahishein riha hain
Teri karwaton se meri dastaan bayaan hai
Kya sukoon kya junoon humnawa...

Hum toh haare mahiya re
Moondein naina neend tihaare [x2]​
 
Top